Sunday, 3 May 2020

Ham ruthe to kya ruthe ye sara jag rutha baitha hai.

Are tum ruthe to kya ruthe,Jag sara rutha baitha hai.
Are tum tute to kya tute jag sara tuta baitha hai.
Tum usse khafa ho baithe ho. Wo usse khafa ho baitha hai.
Tum usse juda ho baithe.wo usse juda ho baitha hai.
Kiskisko dosh lagaoge sab sabse khafa ho baitha hai.
Papa apne bete se.beta baap se juda ho baitha hai.
Are kiskisko dosh lagaoge sab sabse khafa ho baitha hai.
Galti hai na teri meri.galti to bas is samay ki hai.
Thore nasamajh tum bhi ho thori nasamjhi unki bhi hai.
Kuchh halat kuchh majburiya bana deti hai apno me duriya.
Kuchh swarth kuchh lalach bhi kabhi ban jati hai rishto me beriya.
Kisko jakar kahoge tum.kisko dukhra sunaoge.
Dukhra sunne wale tera.khud dukhi apni man kar baithe hai.
Kya rona,dhona pachhtana sab sab ro ro patthar ban baithe hai.
Kiskisko dosh lagaoge sab sabse khafa ho baithe hai.
Kisiko kisiki khabar nahi,sab apne dhun me kho baithe hai.
Kehte hai ham gire nahi..sab khud se bare ban baithe hai.
Kuchh to khakar dhokhe wokhe ..khud jakhmi hokar baithe hai..
Kuchh halato se larkar chupchap kahi pe baithe hai.
Is duniya ki baat kaho mat sab apna rona rote hai..
Par jo khud ro rokar bhi duniya ke aansu hardam hi pochhe hai.
Khud ki fikar ko bhul bhal kar logo me khushiya bate hai.
Hame naman hai aise logo ki ..ham sarvswa inme apna lutayenge..
Ham inke khatir pyar to kya jaan bhi apni gawayenge.
Jo hame samajhte hai apne ham bhi unhe apna banayenge.





No comments:

Featured post

गुगल मेरे राम कौन हैं?

 मूर्ख यदि मैं इतना समझदार होती तो तुमसे पहले मैं श्री राम के पास पहुँच जाती, तुमसे यहाँ सर नहीं चटवाती।।